Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3f0aaf27e8a37b07bd1f21b61309b0dc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Ne Jo Kuchh Ki Kiya Mere Dil-e-zar Ke Sath - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Tu Ne Jo Kuchh Ki Kiya Mere Dil-e-zar Ke Sath

tu ne jo kuchh ki kiya mere dil-e-zar ke sath

aag ne bhi na kiya wo to KHas-o-KHar ke sath

aankh uTha kar bhi na dekha kabhi tu ne zalim

sar paTak mar gae lakhon teri diwar ke sath

ye kai tar hain wo rishta-e-jaan hai yaksar

ghalat us zulf ki tashbih hai zunnar ke sath

raat din rahti hai jun dida-e-taswir khuli

aankh jab se lagi us aaina-ruKHsar ke sath

dekhiyo gir na paDe dijo use ai qasid

dil-e-betab lipaTta hai main tumar ke sath

kya ajab ye hai ki wo mujh se mila rahta hai

gul ko paiwastagi lazim hai ki ho KHar ke sath

hai saza-war agar aise ko dije dil-o-din

hum bhi dekha use kal dur se 'bedar' ke sath

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Ne Jo Kuchh Ki Kiya Mere Dil-e-zar Ke Sath In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Tu Ne Jo Kuchh Ki Kiya Mere Dil-e-zar Ke Sath is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Tu Ne Jo Kuchh Ki Kiya Mere Dil-e-zar Ke Sath for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Tu Ne Jo Kuchh Ki Kiya Mere Dil-e-zar Ke Sath in PDF.