Tere Mizhgan Hi Na Pahlu Marte Hain Tere
tere mizhgan hi na pahlu marte hain tere
ham-sari rakhte hain abru bhi dam-e-shamshir se
dekh ye karta hai gham ki lazzaten hum par haram
ho samajh kar aashna ai nala Tuk tasir se
hun main wo diwana-e-nazuk-mizaj-e-gul-ruKHan
kijiye zanjir jis ko saya-e-zanjir se
soz-e-dil kyunkar karun us shoKH ke aage bayan
shama ki manind jalti hai zaban taqrir se
garche hon 'bedar' gharq-e-masiyat sar-ta-ba-pa
pur-umid-e-maghfirat hai shabbar-o-shabbir se
(336) Peoples Rate This