Tere Kuche Se Na Ye Sheftagan Jate Hain
tere kuche se na ye sheftagan jate hain
jhuT kahte hain ki jate hain kahan jate hain
aamad-o-raft na puchh apni gali ki hum se
aate hain hanste hue karte fughan jate hain
kaba o dair mein dekhe hain usi ka jalwa
kufr o islam mein kab dida-waran jate hain
nahin maqdur ki pahunche koi us tak par hum
jun nigah dida-e-mardum se nihan jate hain
gar hai didar-talab saf kar apne dil ko
ru-ba-ru us ke to aaina-dilan jate hain
jazb tera hi agar khinche to pahunchen warna
tujh ko sunte hain pare wan se jahan jate hain
aah karta hai KHarash un ka dilon mein nala
kaun ye qafile mein nala-zanan jate hain
ji mein hai kahiye ghazal aur muqabil us ke
guhar is bahar mein mazmun ke rawan jate hain
tujh ko 'bedar' rakha pichhe giran-bari ne
rah-rau jo hain subuksar dawan jate hain
(336) Peoples Rate This