Tere Hairat-zadagan Aur Kahan Jate Hain
tere hairat-zadagan aur kahan jate hain
kahiye gar aap se jate hain to han jate hain
we nahin hum ki tere jaur se uTh jate hain
ji hai jab lag nahin ai jaan-e-jahan jate hain
kaun wo qabil-e-kushtan hai batao hum ko
aap jo us pe liye tir-o-kaman jate hain
jyun nagin ru-siyahi nam se yan hasil hai
namwar we hain jo benam-o-nishan jate hain
sang-e-hasti se ki tha mane-e-rah-e-maqsud
jast kar misl-e-sharar garm rawan jate hain
tujh ko fahmid kahan shaiKH ki samjhe ye ramz
wan nahin bar-e-malak yar jahan jate hain
mujh ko us tifl-e-pari-ru ne kiya diwana
hosh se dekh jise pir o jawan jate hain
ghair-e-jauhar nahin e'raaz se un ko kuchh kaam
rang-o-bu par nahin sahib-nazaran jate hain
KHwab 'bedar' musafir ke nahin haq mein KHub
kuchh bhi hai tujh ko KHabar ham-safaran jate hain
(310) Peoples Rate This