Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum
shabnam to bagh mein hai na yun chashm-e-tar ki hum
ghuncha bhi is qadar hai na KHuni jigar ki hum
jun aaftab us mah-e-be-mahr ke liye
aise phire na koi phira dar-ba-dar ki hum
kahta hai nala aah se dekhen to kaun jald
us shoKH sang-dil mein kare tu hai ghar ki hum
hai har dur-e-suKHan pe saza-war gosh-e-yar
moti sadaf rakhe hai par aise guhar ki hum
munh par se shab naqab uTha yar ne kaha
raushan-jamal dekh tu ab hai qamar ki hum
zar kya hai mal tujh pe karen naqd-e-jaan nisar
itna to aur kaun hai ai sim-bar ki hum
ta-zist hum buton ke rahe sath misl-e-zulf
yun umr kis ne ki hai jahan mein basar ki hum
ghussa ho kis pe aae ho jo tewari chaDha
laeq itab ke nahin koi magar ki hum
'bedar' shart hai na palak se palak lage
dekhen to raat ja ke hai ya tu sahar ki hum
(314) Peoples Rate This