Safa Almas O Gauhar Se Fuzun Hai Tere Dandan Ki
safa almas o gauhar se fuzun hai tere dandan ki
kahan tujh lab ke aage qadr-o-qimat lal-o-marjaan ki
ajab ki sahiri us man-haran ke chashm-e-fattan ne
diya kajal siyahi le ke aankhon se ghazalan ki
tujhe ai lala-ru wo husn-e-rangin hai ki gul-ruyan
abiri pairahan karte hain teri gard-e-daman ki
abas mal mal ke dhota hai tu apne dast-e-nazuk ko
nahin jaane ki surKHi hath se KHun-e-shahidan ki
bahaar aai chaman mein gul khile ai baghban shayad
junun ne dhajjiyan gar jo uDain phir gareban ki
qad-e-mauzun to shamshad-o-sanobar rakhte hain lekin
kahan pawen laTak ki chaal us sarw-e-KHiraman ki
na dekhi aankh uTha bad-hali-e-ashuftagan zalim
banata hi raha tu KHush-KHumi zulf-e-pareshan ki
barhana-pa junun aawara kaun is dasht se guzra
ki rangin KHun se hai yan nok har KHar-e-mughilan ki
rakho mat chashm-e-KHwab ai dosto 'bedar' se hargiz
koi deti hai sone yaad us ru-e-daraKHshan ki
(409) Peoples Rate This