Sabhon Se Yun To Hai Dil Aap Ka KHush

sabhon se yun to hai dil aap ka KHush

agar puchho to hai hum se hi na-KHush

KHushi teri hi hai manzur hum ko

bala se gar koi na-KHush ho ya KHush

rawaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair

na ki par aap ne yan koi ja KHush

jafa kar ya wafa muKHtar hai tu

mujhe yaksan hai kya na-KHush hai kya KHush

nahin us mein to ghair-az-jaur lekin

mujhe kya jaane kya aai ada KHush

kiya hai garche na-KHush tu ne hum ko

rakhe par ai butan tum ko KHuda KHush

KHushi hai sab ko roz-e-id ki yan

hue hain mil ke baham aashna KHush

bhala kuchh bhi munasib hai meri jaan

ki ho tu aaj ke din mujh se na-KHush

bata aisi koi tadbir 'bedar'

ki jis se howe mera dilruba KHush

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhon Se Yun To Hai Dil Aap Ka KHush In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Sabhon Se Yun To Hai Dil Aap Ka KHush is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Sabhon Se Yun To Hai Dil Aap Ka KHush for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Sabhon Se Yun To Hai Dil Aap Ka KHush in PDF.