Qasid Us Ka Payam Kuchh Bhi Hai

qasid us ka payam kuchh bhi hai

kah dua ya salam kuchh bhi hai

suKHan-e-mehr-KHwah harf-e-itab

us ke munh ka kalam kuchh bhi hai

saf ya durd-e-baada-e-gul-gun

saqi-e-lala-fam kuchh bhi hai

kya gham-e-hijr kya surur-e-visal

guzaran hai dawam kuchh bhi hai

us ruKH o zulf se ki dun tashbih

KHubi-e-subh-o-sham kuchh bhi hai

yaad mein apne yar ke rahna

behtar aur us se kaam kuchh bhi hai

tu jo 'bedar' yun phire hai KHarab

pas-e-namus-o-nam kuchh bhi hai

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasid Us Ka Payam Kuchh Bhi Hai In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Qasid Us Ka Payam Kuchh Bhi Hai is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Qasid Us Ka Payam Kuchh Bhi Hai for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Qasid Us Ka Payam Kuchh Bhi Hai in PDF.