Pawe Kis Tarah Koi Kis Ko Hai Maqdur Hamein
pawe kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein
le gaya ishq tera khinch bahut dur hamein
subh ki raat to ro ro ke ab aa ai be-mehr
roz-e-raushan ko dikha mat shab-e-dijur hamein
rabt ko chahiye yak nau ki jinsiyyat yan
chashm-e-bimar use hai dil-e-ranjur hamein
baat gar kije to hai banda-nawazi warna
dekhna hi hai faqat aap ka manzur hamein
ulfat us shoKH ki chhuti hai koi jite ji
rakkho is pand se ai naseho mazur hamein
pi hai mai raat ko ya jage ho tum kuchh to hai
aankhen aati hain nazar aaj to maKHmur hamein
yan se 'bedar' gaya wo mah-e-taban shayad
nazar aata hai ye ghar aaj to be-nur hamein
(324) Peoples Rate This