Ne Faqat Tujh Husn Ki Hai Hind Ki KHuban Mein Dhum

ne faqat tujh husn ki hai hind ki KHuban mein dhum

hai teri zulf-e-chalipa ki farangistan mein dhum

kya karen pa-basta-e-ku-e-butan hain warna hum

karte jun farhad o majnun dasht-o-kohistan mein dhum

dekh tere munh ko kuchh aaina hi hairan nahin

tujh ruKH-e-raushan ki hai mahr-o-mah-e-taban mein dhum

ai bahaar-e-gulshan-e-naz-o-nazakat har taraf

tere aane se hui hai aur bhi bustan mein dhum

sher kahna garche chhoDa tu ne ai 'bedar' aaj

kah ghazal aisi ki ho bazm-e-suKHan-sanjaan mein dhum

(308) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ne Faqat Tujh Husn Ki Hai Hind Ki KHuban Mein Dhum In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Ne Faqat Tujh Husn Ki Hai Hind Ki KHuban Mein Dhum is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Ne Faqat Tujh Husn Ki Hai Hind Ki KHuban Mein Dhum for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Ne Faqat Tujh Husn Ki Hai Hind Ki KHuban Mein Dhum in PDF.