Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e6fe49f02ff12a2e8c7079afd331f1bf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nashshe Mein Ji Chahta Hai Bosa-bazi Kijiye - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Nashshe Mein Ji Chahta Hai Bosa-bazi Kijiye

nashshe mein ji chahta hai bosa-bazi kijiye

itni ruKHsat dijiye banda-nawazi kijiye

chahiye jo kuchh so ho pahle hi sajde mein husul

aap ko gar kaba-e-dil ka namazi kijiye

jis ne ek jalwa ko dekha ji diya parwana-war

is qadar ai shama-ruyan husn-sazi kijiye

nardban kahte hain hai baam-e-haqiqat ka majaz

chand roz is waste ishq-e-majazi kijiye

KHwahish-e-raushan-dili gar howe shab se ta-sahar

shama-san 'bedar' ro ro jaan-gudazi kijiye

(319) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashshe Mein Ji Chahta Hai Bosa-bazi Kijiye In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Nashshe Mein Ji Chahta Hai Bosa-bazi Kijiye is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Nashshe Mein Ji Chahta Hai Bosa-bazi Kijiye for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Nashshe Mein Ji Chahta Hai Bosa-bazi Kijiye in PDF.