Na Gham-e-dil Na Fikr-e-jaan Hai Yaad
na gham-e-dil na fikr-e-jaan hai yaad
ek teri hi bar zaban hai yaad
tha jo kuchh wada-e-wafa hum se
kuchh bhi wo tum ko mehrban hai yaad
agle milne ki tarah bhul gae
kya bataun tumhein kahan hai yaad
hun main paband-e-ulfat-e-sayyaad
kab mujhe bagh-o-bostan hai yaad
mahw tere hi ru-o-zulf ke hain
na hamein wo na ye jahan hai yaad
dida-o-dil mein tu hi basta hai
tujh siwa kis ki aur yan hai yaad
aur kuchh aarzu nahin 'bedar'
ek us ki hi jawedan hai yaad
(316) Peoples Rate This