Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe
maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe
hain chashm-o-dil ghar us ke jahan chahe wan rahe
misl-e-nigah ghar se na bahar rakha qadam
phir aae har taraf ye jahan ke tahan rahe
ne but-kada se kaam na matlab haram se tha
mahw-e-KHayal-e-yar rahe hum jahan rahe
jis ke ki ho naqab se bahar shua-e-husn
wo ru-e-aftab KHajil kab nihan rahe
aae to ho pa dil ko tasalli ho tab mere
itna kaho ki aaj na jawenge han rahe
hasti hi mein hai sair-e-adam us ko yan jise
fikr-e-miyan-e-yar o KHayal-e-dahan rahe
ghibat hi mein hai us ki hamara zuhur yan
wo jalwa-gar jab aage hua hum kahan rahe
'bedar' zulf khinche idhar chashm-e-yar udhar
hairan hai dil kahan na rahe kis ke han rahe
(307) Peoples Rate This