Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-e-sabaq Hai
maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai
har tifl ke yan ashk se aaluda waraq hai
hun muntazir us mahr ke aane hi ka warna
shabnam ki tarah aankhon mein dam koi ramaq hai
dekh ai chaman-e-husn tujhe bagh mein KHandan
shabnam nahin ye gul pe KHajalat se araq hai
wo chand sa munh surKH dupaTTa mein hai raKHshan
ya mahr kahun jalwa-numa zer-e-shafaq hai
nargis ki zar-o-gul pe bhi wa chashm-e-tama hai
is par ki zar-o-sim ka us pas tabaq hai
dil us but-e-be-mehr ko de muft hi khoya
kahte hain jo kuchh yar mujhe waqai haq hai
juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar mein
jab se ki tere ishq ka yan nazm-o-nasaq hai
mazkur hua yan magar us gul ke dahan ka
jo rashk se har ghuncha ka dil bagh mein shaq hai
kar masqala-e-zikr se dil saf tu apna
'bedar' ye aaina tajalli-gah-e-haq hai
(315) Peoples Rate This