KHak-e-ashiq Hai Jo Howe Hai Nisar-e-daman

KHak-e-ashiq hai jo howe hai nisar-e-daman

ai meri jaan tu mat jhaD ghubar-e-daman

dosto mujh ko na do sair-e-chaman ki taklif

ashk hi bas hai mera bagh-o-bahaar-e-daman

surKH jama pe nahin tere kanari ki chamak

barq is abr mein hoti hai nisar-e-daman

dekhta kya hai gareban ki junun se naseh

yan to sabit na raha ek bhi tar-e-daman

aastin tak to kahan us ke rasai 'bedar'

dastaras mujh ko nahin ta-ba-kanar-e-daman

(325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak-e-ashiq Hai Jo Howe Hai Nisar-e-daman In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. KHak-e-ashiq Hai Jo Howe Hai Nisar-e-daman is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem KHak-e-ashiq Hai Jo Howe Hai Nisar-e-daman for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download KHak-e-ashiq Hai Jo Howe Hai Nisar-e-daman in PDF.