Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7a454c6676ee6eba76553c10c4aff33d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaun Yan Bazar-e-KHubi Mein Tera Ham-sang Hai - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Kaun Yan Bazar-e-KHubi Mein Tera Ham-sang Hai

kaun yan bazar-e-KHubi mein tera ham-sang hai

husn ke mizan mein tere mahr-o-mah pasang hai

main wo hun diwana-e-sarKHil-e-arbab-e-junun

hath mein patthar liye har tifl mere sang hai

ja-e-takiya aashiq-e-be-KHanuman ko waqt-e-KHwab

zer-e-sar kuche mein tere KHisht hai pasang hai

is jawahar-posh ke dekhe hain wo yaqut-e-lab

jis ki rangini ke aage lal bhi ek sang hai

surmai aankhon ka tere jo koi bimar ho

ek mil us ke tain rakhna qadam farsang hai

jal gaya tanha na koh-e-tur hi parwana-war

aag tere ishq ki sham-e-dil-e-har-sang hai

saKHt-jaani meri aur zalim tere sangin-dili

aah misl-e-asiya ye sang upar sang hai

bap ka hai faKHr wo beTa ki rakhta ho kamal

dekh aaine ko farzand-e-rashid-e-sang hai

sar mera tere qadam ke sath yun hai pesh-rau

Thokaron mein jis tarah se rah-guzar ka sang hai

e'tiqad-e-momin-o-kafir hai rahbar warna phir

kuchh nahin dair-o-haram mein KHak hai pasang hai

ye sada ghar ghar kare hai aasiya phir phir mudam

musht-e-gandum ke liye chhani ke upar sang hai

shaiKH ki masjid se ai 'bedar' kya hai tujh ko kaam

sajda-gah apna sanam ke aastan ka sang hai

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Yan Bazar-e-KHubi Mein Tera Ham-sang Hai In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Kaun Yan Bazar-e-KHubi Mein Tera Ham-sang Hai is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Kaun Yan Bazar-e-KHubi Mein Tera Ham-sang Hai for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Kaun Yan Bazar-e-KHubi Mein Tera Ham-sang Hai in PDF.