Jo Wo Bahaar-e-azar-e-KHubi Chaman Mein Aata KHiram Karta
jo wo bahaar-e-azar-e-KHubi chaman mein aata KHiram karta
sanobar-o-sarw har ek aa kar zarur us ko salam karta
figar tegh-e-sitam ke ab tak karen hain nala ba-rang-e-bulbul
qayamat ai gul ajab hi hoti tu gar kisi se kalam karta
jo pata lazzat basan-e-saqi mai-e-mohabbat se teri zahid
nikal haram se wo but-kade mein maqam apna mudam karta
jo upri ru tujhe dikhata jamal apna to wohin naseh!
hamare manind chhoD ghar ko gali mein us ki qayam karta
KHayal us ke se itni fursat kahan ki fikr-e-suKHan karun main
wagarna 'bedar' is ghazal ko qasida mein la kalam karta
(357) Peoples Rate This