Jo Tu Ho Pas To Dekhun Bahaar Aankhon Se
jo tu ho pas to dekhun bahaar aankhon se
wagarna karte hain gul kar-e-KHar aankhon se
kahan hai tu ki mein khinchun hun rah mein teri
bisan-e-naqsh-e-qadam intizar aankhon se
zi-bas ki aatish-e-gham shola-zan hai sine mein
girin hain ashk ki jagah sharar aankhon se
main yaad kar dur-e-dandan-e-yar rota hun
Tapakte hain guhar-e-ab-dar aankhon se
Tuk aa ke dekh tu ai sarw-qad mera ahwal
rawan hai gham mein tere juebar aankhon se
chaDhaun dasta-e-nargis mazar-e-majnun par
jo dekhun aaj main ru-e-nigar aankhon se
chaman mein kal koi tujh sa pari nazar na paDa
agarche dekhe hain ja kar hazar aankhon se
hua hai dida-e-'bedar' gul-fishan jab se
gira hai tab se ye abr-e-bahaar aankhon se
(350) Peoples Rate This