Jo Kuchh Ki Tha Wazaif-o-aurad Rah Gaya

jo kuchh ki tha wazaif-o-aurad rah gaya

tera hi ek nam faqat yaad rah gaya

zalim teri nigah ne kiye ghar ke ghar KHarab

hoga koi makan ki wo aabaad rah gaya

jate hain ham-safir chaman ko par ek main

yan kushta-e-taghaful-e-sayyaad rah gaya

jun hi do-chaar aa ke hua wo nazar-fareb

le kar qalam ko hath mein bahzad rah gaya

is sarw-e-gul-azar ki tarz-e-KHiram dekh

KHajlat se gaD zamin mein shamshad rah gaya

kis kis ka dil na shad kiya tu ne ai falak

ek main hi gham-zada hun ki nashad rah gaya

'bedar' rah-e-ishq kisi se na tai hui

sahra mein qais koh mein farhad rah gaya

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Kuchh Ki Tha Wazaif-o-aurad Rah Gaya In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jo Kuchh Ki Tha Wazaif-o-aurad Rah Gaya is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jo Kuchh Ki Tha Wazaif-o-aurad Rah Gaya for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jo Kuchh Ki Tha Wazaif-o-aurad Rah Gaya in PDF.