Jis Din Tum Aa Ke Humse Ham-aghosh Ho Gae
jis din tum aa ke hum se ham-aghosh ho gae
shikwe jo dil mein the so faramosh ho gae
saqi nahin hai saghar-e-mai ki hamein talab
aankhen hi teri dekh ke behosh ho gae
sunne ko husn-e-yar ki KHubi ba-rang-e-gul
aaza mere badan ke sabhi gosh ho gae
karte the apne husn ki tarif gul-ruKHan
us lala-ru ko dekh ke KHamosh ho gae
ai jaan dekhte hi mujhe dur se tum aaj
ye kaun si ada thi ki ru-posh ho gae
rahte the be-hijab mere pas jin dinon
we roz hae tum ko faramosh ho gae
duniya o din ki na rahi hum ko kuchh KHabar
hote hi us ke samne behosh ho gae
'bedar' bas-ki roe hum us gul ki yaad mein
sar-ta-qadam sarishk se gul-posh ho gae
(310) Peoples Rate This