Jalwa Dikha Ke Guzra Wo Nur Didgan Ka
jalwa dikha ke guzra wo nur didgan ka
tarik kar gaya ghar hasrat-e-kashidgan ka
gham yar ka na bhule so bagh agar dikha den
kab dil chaman mein wa ho matam-rasidgan ka
rang-e-hina pe tohmat us lala-ru ne bandhi
hathon mein mal ke aaya KHun dil-tapidgan ka
ahl-e-qubur upar wo shoKH kal jo guzra
betab ho gaya dil KHak-armidgan ka
yun 'mir' se suna hai wo mast-e-jam 'bedar'
tah kar gaya musalla uzlat-uzidgan ka
(337) Peoples Rate This