Jaanen Mushtaqon Ki Lab Par Aaiyan
jaanen mushtaqon ki lab par aaiyan
balbe zalim teri be-parwaiyan
jeb to kya naseha daman ki bhi
dhajjiyan kar ishq ne dikhlaiyan
is saman-andaz gul-ruKHsar ki
jaan-faza nikhat chura kar laiyan
sun ke ye baad-e-saba ne bagh mein
gaThriyan ghunchon ki sab khulwaiyan
dekhte hi us ko shaida ho gaya
kya huin 'bedar' we danaiyan
(349) Peoples Rate This