Gham-e-jigar-shikan O Dard Jaan-sitan Dekha
gham-e-jigar-shikan o dard jaan-sitan dekha
tumhaare ishq mein kya kya na mehrban dekha
har ek majlis-e-KHuban mein dil-sitan dekha
na koi tujh sa par ai aafat-e-jahan dekha
main wo asir hun jin ne ki dagh-e-yas siwa
na sair-e-lala-sitan ki na gulsitan dekha
jis aankh mein na samati thi bund aansu ki
ab us ne gham mein tere sail-e-KHun rawan dekha
na kohkan ne wo dekha kabhi na majnun ne
tumhaare ishq mein jo hum ne ai butan dekha
hazar garche hain bimar teri aankhon ke
par un mein koi bhala mujh sa na-tawan dekha
main wo mariz hun pyare ki jin ne muddat se
siwa-e-dard na aaram yak-zaman dekha
kiya sawal main 'bedar' se ki ai mahjur
kabhi bhi tu ne bhala wasl-e-dil-sitan dekha
mufariqat hi mein kya umr khoi meri tarah
ki ishq mein dil-e-gham-ghin na shadman dekha
ye sun ke rone laga aur baad rone ke
kaha na puchho jo kuchh main ne ai miyan dekha
firaq-e-yar jafa-e-shamanat-e-ada
gham-e-dil o sitam-e-pand-e-nasehan dekha
na pai zarra bhi us ashk-e-garm ki tasir
na ek dam asar-e-nala-o-fughan dekha
jahan mein wasl hai sunta hun muddaton se wa-lek
siwa-e-nam na us ka kahin nishan dekha
(530) Peoples Rate This