Gaya Hai Jab Se Dikha Jalwa Wo Pari-ruKHsar
gaya hai jab se dikha jalwa wo pari-ruKHsar
na KHwab dida-e-giryan mein hai na dil ko qarar
hazar rang se phule chaman mein go gulzar
par us baghair KHush aati nahin mujhe ye bahaar
ba-rang-e-lala-e-sar mai-kashi nahin tujh bin
ki KHun-e-dil se main har roz toDta hun KHumar
gulon ke munh pe na ye rang-e-ab-o-tab rahe
wo rashk-e-bagh kare gar udhar ko aa ke guzar
ajab nahin ki baha dewe KHana-e-mardum
rahe gar ashk-fishan yunhi dida-e-KHun-bar
rihai kyunki ho ya-rab main is mein hairan hun
ki ek dil hai mera tis pe dard-o-gham hai hazar
kaha main us but-e-abru-kaman ki KHidmat mein
KHadang-e-jabr ne tere kiya hai mujh ko nigar
na rahm tere dil-e-saKHt mein hai ghair-az-zulm
na mere nala-e-jaan-soz mein asar ai yar
na tab hijr ki rakhta hun ne umid-e-visal
KHuda hi jaane ki kya hoga us ka aaKHir-kar
har ek din mujhe yun sujhta hai ji tan se
nikal hi jaega ham-rah-e-ah-e-atish-bar
na tu mazar pe aawega ta-dam-e-mahshar
rahegi dida-e-giryan ko hasrat-e-didar
abas tu mujh ko Daraata hai apne marne se
hazar tujh se mere mar gae hain aashiq-e-zar
ye sun ke kahne laga wo sitamgar-e-be-rahm
meri bala se jo mar jaega tu ai 'bedar'
(608) Peoples Rate This