Gar Isi Tarah Saj Banaiyega
gar isi tarah saj banaiyega
mahshar aabaad kar dikhaiyega
umr wadon hi mein ganwaiyega
aaiyega bhi ya na aaiyega
mehrban qadar jaaniye meri
mujh sa muKHlis kahin na paiyega
yahi qamat hai gar yahi raftar
hashr barpa hi kar dikhaiyega
yahi rona agar hai ai ankhiyon
KHan-e-marduman Dubaiyega
mah-ruyan kahan talak hum ko
aatish-e-hijr mein jalaiyega
zabt-e-girya na howega jun shama
soz-e-dil gar tumhein sunaiyega
husn jata hai KHat ki aamad hai
han hamein kyun na ab manaiyega
mughtanim jaano hum se muKHlis ko
DhunDiyega to phir na paiyega
ye na hoga ki yan se uTh jawen
aisi sau baaten gar sunaiyega
ek do kya hazar se bhi hum
nahin Darte agar bulaiyega
aaj jo ho so ho yahi hai azm
tum ko har tarah le ke jaiyega
jis ne 'bedar' dil liya mera
ek din tujh ko bhi dikhaiyega
(487) Peoples Rate This