Gar Ek Raat Guzar Yan Wo Rashk-e-mah Kare
gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare
ajab nahin ki gada par karam jo shah kare
dikhawe aaina kis munh se us ko munh apna
ki aaftab ko jun sham-e-subh-gah kare
muqabil aate hi yun khinch le hai dil wo shoKH
ki jaise kah-ruba jazb barg kah kare
hawas-o-hosh ko chhoD aap dil gaya us pas
jab ahl-e-fauj hi mil jaen kya sipah kare
sitam-shiar wafa-dushman aashna-bezar
kaho to aise se kyunkar koi nibah kare
kai taDapte hain aashiq kai sisakte hain
is aarzu mein ki wo sang-dil nigah kare
mohabbat aise ki 'bedar' saKHt mushkil hai
jo apni jaan se guzre wo us ki chah kare
(494) Peoples Rate This