Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0244b7f419a010cdcf0e34abaf7c6cc0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gar BaDe Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja Dije - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Gar BaDe Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja Dije

gar baDe mard ho to ghair ko yan ja dije

us ko kah dekhiye kuchh ya mujhe uThwa dije

kaun aisa hai jo chheDe hai tumhein rah ke bich

main samajh lunga Tuk us ko mujhe batla dije

dil o jaan o KHirad o din pahle hi din de baiThe

aaj hairan hun ki aata hai use kya dije

kya hua haal bhala dekh to mujh be-dil ka

na kabhi dilbari kije na dilasa dije

dawa-e-rustami karte to hain par ek dam mein

chhin lun tegh-o-sipar un ki jo farma dije

gum hua hai abhi yan gauhar-e-dil ai KHuban

hath lag jawe tumhaare to mujhe pa dije

bewafa dushman-e-mehr aafat-e-jaan sangin-dil

haif 'bedar' ki aise ko dil apna dije

(532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar BaDe Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja Dije In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Gar BaDe Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja Dije is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Gar BaDe Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja Dije for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Gar BaDe Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja Dije in PDF.