Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_abb528fefe41c54428ddb3046692cd89, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ko Main Aaj Nasehan Usko Diya Jo Ho So Ho - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Dil Ko Main Aaj Nasehan Usko Diya Jo Ho So Ho

dil ko main aaj nasehan us ko diya jo ho so ho

rah mein ishq ke qadam ab to rakha jo ho so ho

aashiq-e-jaan-nisar ko KHauf nahin hai marg ka

teri taraf se ai sanam jaur-o-jafa jo ho so ho

ya tere panw mein lage ya mile KHak mein tamam

dil ko main KHun kar chuka misl-e-hina jo ho so ho

KHwah kare wafa-o-mehr KHwah kare jafa-o-jaur

dilbar-e-shoKH-o-shang se ab to mila jo ho so ho

ya wo uTha de mehr se ya kare tegh se juda

yar ke aaj panw par sar ko dhara jo ho so ho

(296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Main Aaj Nasehan Usko Diya Jo Ho So Ho In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Dil Ko Main Aaj Nasehan Usko Diya Jo Ho So Ho is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Dil Ko Main Aaj Nasehan Usko Diya Jo Ho So Ho for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Dil Ko Main Aaj Nasehan Usko Diya Jo Ho So Ho in PDF.