Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f60cceeb09b2e4335fd915e8ddeb9430, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bhare Moti Hain Goya Tujh Dahan Mein - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Bhare Moti Hain Goya Tujh Dahan Mein

bhare moti hain goya tujh dahan mein

ki dur-rezi tu karta hai suKHan mein

bahaar-ara wahi hai har chaman mein

usi ki bu hai nasrin-o-saman mein

na phir idhar udhar nahaq bhaTakta

ki hai wo jalwa-gar tere hi man mein

jahan wo hai nahin wan kufr o islam

abas jhagDa hai shaiKH o barhaman mein

hui jati hai pani sharm se shama

magar wo mah aaya anjuman mein

chhuDaya tha nipaT mushkil se phir aah

dil aTka us ki zulf-e-pur-shikan mein

junun ne dast-kari aisi bhi ki

na tha goya gareban pairahan mein

mara jata hai jis ghairat mein dariya

gira kis ka hai dil chah-e-zaqan mein

magar parwana jal kar ho gaya KHak

ki ro-ro shama jalti hai lagan mein

jo sunte the dam-e-isa ka eajaz

so dekha hum ne wo tere suKHan mein

na dekha us pari-jalwa ko 'bedar'

raha mashghul tu yan ma-o-man mein

(316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhare Moti Hain Goya Tujh Dahan Mein In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Bhare Moti Hain Goya Tujh Dahan Mein is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Bhare Moti Hain Goya Tujh Dahan Mein for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Bhare Moti Hain Goya Tujh Dahan Mein in PDF.