Be-murawwat Bewafa Na-mehrban Na-ashna
be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna
jis ke ye ausaf koi us se ho kya aashna
tang ho sae se apne jis ko ho na-ashna
wo but-e-wahshi-e-tabiat kis ka hoga aashna
wah wah ai dil-bar-e-kaj-fahm yunhi chahiye
hum se ho na-ashna ghairon se hona aashna
bad-mizaji na-KHushi aazurdagi kis waste
gar bure hum hain to ho jiye aur se ja aashna
ye sitam ye dard ye gham aur alam mujh par hua
kash ki tujh se main ai zalim na hota aashna
ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bewafa
kis tawaqqo par bhala ho koi tera aashna
aashna kahne ko yun to aap ke howenge sau
par koi ai mehrban aisa na hoga aashna
KHair-KHwah o muKHlis o fidwi jo kuchh kahiye so hun
aib kya hai gar rahe KHidmat mein mujh sa aashna
aashnai ki tawaqqoa kis se ho 'bedar' phir
ho gaya begana jab aisa hi apna aashna
(388) Peoples Rate This