Auron Ki Baat Yan Bahut Kam Hai
auron ki baat yan bahut kam hai
zikr-e-KHair aap ka hi har dam hai
jaan tak to nahin hai tujh se daregh
ai main qurban kyun tu barham hai
gah rona hai kah hansna hai
aashiqi ka bhi zor aalam hai
KHush na paya kisi ko yan hum ne
dekhi duniya sara-e-matam hai
aah jis din se aankh tujh se lagi
dil pe har roz ek naya gham hai
magar aansu kisu ke ponchhe hain
aastin aaj kyun teri nam hai
us ke aariz pe hai araq ki bund
ya ki 'bedar' gul pe shabnam hai
(372) Peoples Rate This