Aane Do Apne Pas Mujhko
aane do apne pas mujh ko
karna hai kuchh iltimas mujh ko
tere ye jaur kab sahun main
gar ishq ka ho na pas mujh ko
do tifl-mizaj shisha-dil mein
kis tarah na ho hiras mujh ko
lagta hai na ghar mein dil na bahar
kis ne ye kiya udas mujh ko
kya haal kahun ki dekh us ko
rahte hi nahin hawas mujh ko
ai nikhat-e-gul pari hi rah tu
aana hai usi ke pas mujh ko
munh phera bhi na us taraf se
Tuk hone de ru-shanas mujh ko
uTh jaunga ek din KHafa ho
yahan tak na karo udas mujh ko
gar hain yahi jaur us ke 'bedar'
bachne ki nahin hai aas mujh ko
(336) Peoples Rate This