Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain
ye jo chupke se aae baiThe hain
lakh fitne uThae baiThe hain
wo nahin hain to dard ko un ke
sine se hum lagae baiThe hain
ye bhi kuchh ji mein aa gai hogi
kya wo mere biThae baiThe hain
tazkira wasl ka nahin KHali
wo bhi kuchh lutf pae baiThe hain
mujh ko mara hai par KHajalat se
wo bhi gardan jhukae baiThe hain
rang jamta hai yan na aane ka
yani mehndi lagae baiThe hain
mujh ko mahfil mein dekh kar bole
aap yan kyun ki aae baiThe hain
KHair ho hain bigaD ke aasar
kuchh wo munh ko banae baiThe hain
gham hamein kha raha hai to kya gham
hum bhi to gham ko khae baiThe hain
zad mein gar hai adu to ho wo to
ghat mujh par lagae baiThe hain
khoe jaane ka apne dhyan nahin
kuchh to aisa hi pae baiThe hain
sharm se hain wo lakh parde mein
go mere pas aae baiThe hain
shama san go ghule hi jate hain
us se par lau lagae baiThe hain
us gali mein basan-e-naqsh-e-qadam
hum bhi panw jamae baiThe hain
ho na ai shama husn par nazan
wo bhi mahfil mein aae baiThe hain
shoKHiyan KHud hain parda-dar un ki
kyun wo munh ko chhupae baiThe hain
fard-e-baatil samajh ke duniya ko
naqsh-e-hasti miTae baiThe hain
kya hai us KHush-KHiram ki aamad
fitne jo jae jae baiThe hain
tur jis aag ne jalaya tha
hum wo dil mein chhupae baiThe hain
chashmaken ghair se dikha denge
hum bhi aankhen laDae baiThe hain
kal taqaddus-maab masjid the
aaj rindon mein aae baiThe hain
la-ubaali KHiram hai 'majruh'
waza kaisi banae baiThe hain
(382) Peoples Rate This