Wo Kahan Jalwa-e-jaan-baKHsh Butan-e-dehli
wo kahan jalwa-e-jaan-baKHsh butan-e-dehli
kyun ki jannat pe kiya jaane guman-e-dehli
in ka be-wajh nahin TuT ke hona barbaad
DhunDe hai apne makinon ko makan-e-dehli
jis ke jhonke se saba tabla-e-attar bane
hai wo baad-e-sahar-e-itr-fishan-e-dehli
mehr zar KHak ko karta hai ye sach hai lekin
is se kuchh baDh ke hain sahab-nazran-e-dehli
aaina-saz sikandar hai tu jam jam-farosh
wusat-abaad hai kis darja jahan-e-dehli
kar ke barbaad use kis ko basaega falak
kya koi aur bhi hai shahar basan-e-dehli
is liye KHuld mein jaane ka har ek talib hai
ki kuchh ek dur se paDta hai guman-e-dehli
wo sitam dekh chuke the ki rahe aasuda
fitna-o-hashr mein aafat-zadgan-e-dehli
samjhe hain su-e-adab jannat-e-sani kahna
wo kuchh ashKHas jo hain martaba-dan-e-dehli
saili-e-panja-e-jallad-e-sitam se hai hai
nazr-e-be-dad hue muntaKHaban-e-dehli
ya-KHuda hazrat-e-ghaalib ko salamat rakhna
ab isi nam se baqi hai nishan-e-dehli
karbat-e-ghurbat-o-tanhai-o-shab-ha-e-daraaz
aur 'majruh'-e-dil-afgar bayan-e-dehli
(466) Peoples Rate This