Uske Nibhne Ke Kuchh Nahin Asbab
us ke nibhne ke kuchh nahin asbab
wo taghaful-shiar main be-tab
wajib-ul-qatl hai dil-e-betab
kushta hona hi KHub hai simab
abr ki tirgi mein hum ko to
sujhta kuchh nahin siwae sharab
apni kashti ka hai KHuda-hafiz
pichhe tufan hai samne girdab
bosa manga to ye jawab mila
sikhiye pahle ishq ke aadab
us ko phirta hai DhunDhta har-su
kyun kar aankhon se uD na jae KHwab
dard-e-ulfat jo hote hi marte
ye aziyyat na khinchte ahbab
nahin mumkin ki jama hon donon
saqi-e-mehr-wash shab-e-mahtab
samne us ke jo Thahar jaen
nahin be-tabiyon ko itni tab
ahl-e-alam se chahta hun wafa
us ka talib hun jo ki hai nayab
ishq ke sath hi gae dil-o-din
aa gai sail bah gaya asbab
saf fiqre hun aur hamin par hon
shewa achchha to hai mera aadab
hoti gar is jahan mein kuchh KHubi
kahte kyun phir sifat mein is ki KHarab
aazmana na dil ko saKHti se
TuT jae na ye dur-e-nayab
kis tarah bahr-e-ishq se niklun
ye to dariya kahin nahin payab
shoala-e-husn tera kya kahna
phunk de us ke parda-ha-e-hijab
us ki shoKHi ka hai tajjub kya
husn ye kuchh aur us pe ain shabab
'ghaalib' aae hain lao ai 'majruh'
baada-e-nab mein mila ke gulab
(368) Peoples Rate This