Sar Ko Tan Se Mere Juda Kije
sar ko tan se mere juda kije
ye bhi jhagDa hai faisla kije
mujh pe tohmat sanam-parasti ki
shaiKH sahab KHuda KHuda kije
lal ko us ke lab se kya nisbat
ye bhi ek baat hai suna kije
lo wo aate hain jald hazrat-e-dil
fikr-e-sabr-e-gurez-pa kije
hum ghanimat usi ko samjhenge
lo wafa wada-e-jafa kije
apna kina banun ki yaad-e-raqib
kis tarah us ke dil mein ja kije
yan to matlab hi kuchh nahin rakhte
jo kisi se kahen rawa kije
muddai ghat hi mein rahte hain
kyun ki wan arz-e-muddaa kije
dukh jo 'majruh' ne sahe gham se
us ka kya sharh-e-majra kije
mar gaya wo pa yaad aata hai
us ka kahna ki aah kya kije
saKHt mushkil hai yar ka khulna
ye girah kis tarah se wa kije
sabr ke faede bahut hain wale
dil hi bas mein na ho to kya kije
ghair ki pasban ki darban ki
kis ki ja ja ke iltija kije
us ki wo aankh ab nahin 'majruh'
jald kuchh apna sujhta kije
(435) Peoples Rate This