Nichi Nazron Ke War Aane Lage
nichi nazron ke war aane lage
lo bas ab jaan-o-dil Thikane lage
meri nazron ne kya kaha yarab
kyun wo sharma ke muskurane lage
maslahat tark-e-jaur tha chande
phir usi hathkandon pe aane lage
jalwa-e-yar ne kiya be-KHud
hum to aate hi un ke jaane lage
sab ka kaba hai manzil-e-maqsud
hum to aage qadam baDhane lage
kya kahin aamad-e-bahaar hui
kyun gareban pe hath jaane lage
gar haqiqat-nigar ho chashm to wo
jalwa har rang mein dikhane lage
hum ko rabt-e-guzishta yaad aae
wo jo ban-Than ke ghar se jaane lage
bas yahi ghayat-e-tasawwur hai
hijr mein lutf-e-wasl aane lage
us sarapa bahaar ke jalwe
rang kuchh aur hi na khane lage
kyun ki fursat adu se tum ko mili
jo tasawwur mein mere aane lage
be-ghiza ke to rah nahin sakte
na mila kuchh to zahar khane lage
baat banti nazar nahin aati
ab wo baaten bahut banane lage
aaj 'majruh' zabt kar na saka
kya kare jab ki jaan jaane lage
(402) Peoples Rate This