Na Wo Nalon Ki Shorish Hai Na Ghul Hai Aah-o-zari Ka
na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka
wo ab pahla sa hangama nahin hai be-qarari ka
talab kaisi bulana kya wahan KHud ja pahunchte hain
agar aalam yahi chande raha be-aKHtyari ka
wahan wo naz-o-ishwe se qadam gin gin ke rakhte hain
yahan is muntazir ka waqt pahuncha dam-shumari ka
kabhi chashm-e-KHumar-alud ki masti nahin dekhi
baja hai hazrat-e-naseh ko dawa hoshiyari ka
bhala kya aisi roti shakl pas aa kar koi baiThe
uThe aaKHir wo jhunjhla kar bura ho ashk-bari ka
ajab kya hai ki qasid bhul jae us ka le jaana
likhun jis name mein shikwa teri ghaflat-shiari ka
misal-e-naKHl dekha hai usi ko phulte-phalte
kiya jis shaKHs ne hasil tariqa KHaksari ka
har ek shai ka hai andaza magar payan nahin hargiz
teri ghaflat-shiari ka meri ummid-wari ka
zi-bas aankhon mein rangat chha rahi hai lala-o-gul ki
KHizan mein lutf aata hai hamein fasl-e-bahaari ka
kabhi sar panw par rakhna kabhi qurban kah uThna
hamein thoDa sa Dhab aata to hai matlab-barari ka
chhupa kal gosha-e-mai-KHana mein 'majruh' ne dekha
yunhi shohra suna tha shaiKH ki parhez-gari ka
(433) Peoples Rate This