Na Kyun Tir-e-nazar Guzre Jigar Se
na kyun tir-e-nazar guzre jigar se
kahin ye war rukte hain sipar se
kisi se ishq apna kya chhupaen
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
hui hai un ke mushtaqon se rah band
wo mere ghar bhala aaen kidhar se
bhala dil ka kahan milna ki un ki
nazar bhi to nahin milti nazar se
mujhe diwar hairat ne banaya
gaya hai jhank kar ye kaun dar se
kabhi TuTen kabhi sayyaad kaTe
gharaz uDna nahin hai baal-o-par se
kahan ki pairwi jab qasd ye ho
ki aage baDh ke chaliye rahbar se
na kholenge to ye TuTega aaKHir
ki main Takra raha hun sar ko dar se
laDai ka na main toDunga phir tar
zara si chheD ho jae udhar se
agar jati hai jaan milta hai jaanan
hamein to nafa afzun hai zarar se
raha dil mein na hargiz tir us ka
hamein khaTka yahi tha peshtar se
siwae shar na kuchh dekha adu se
KHuda mahfuz rakkhe us bashar se
hua go paemal-e-ghair 'majruh'
na sarka yar ke par rahguzar se
(407) Peoples Rate This