Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8df473b5d0d6d9e2c67fe30d021728c1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Dil Mein To Har Zaman Ho Tum - Meer Mehdi Majrooh Poetry In English - Darsaal

Mere Dil Mein To Har Zaman Ho Tum

mere dil mein to har zaman ho tum

chashm-e-zahir se kyun nihan ho tum

be-wafaen ka aib kaisa hai

ye to sach hai ki meri jaan ho tum

jab chalo TiTar hi ki chalte ho

mere haq mein to aasman ho tum

dil-o-din donon nazr karta hun

aisi chizon ke qadr-dan ho tum

dekh ghamgin mujhe bigaDte ho

par-le darje ke bad-guman ho tum

arsh-paimai-e-KHayal abas

kaun pahuncha wahan jahan ho tum

baat mein dil ko khinch lete ho

kis qayamat ke KHush-bayan ho tum

hai sawal aur aur jawab hai aur

sach kaho is ghaDi kahan ho tum

bachiye aghyar ki nazar na lage

chashm-e-bad-dur naujawan ho tum

dushmani hum karen to kis kis se

ek aalam pe mehrban ho tum

zulf ke bar se kamar lachke

kis qadar nazuk ai miyan ho tum

dekhne ki majal hai kis ko

misl-e-KHurshid go ayan ho tum

hai wahi Thik jo kaho 'majruh'

kyun na ho sahab-e-zaban ho tum

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dil Mein To Har Zaman Ho Tum In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Mere Dil Mein To Har Zaman Ho Tum is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Mere Dil Mein To Har Zaman Ho Tum for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Mere Dil Mein To Har Zaman Ho Tum in PDF.