KHanuman-soz Ma-siwa Hun Main
KHanuman-soz ma-siwa hun main
apne sae se bhi juda hun main
ghaur har chand kar raha hun main
par ye khulta nahin ki kya hun main
nahin is rah mein dusre ki khapat
aap hi apna rahnuma hun main
wo agar aa milen to kya hai ajab
gham se kuchh aur ho gaya hun main
dil hai shauq-e-gunah se labrez
dekhne hi ka parsa hun main
kyun na ho dar ka wo mustaujib
jo ki banda kahe KHuda hun main
soz-e-dil kar chuka hai jism ko KHak
ab tera muntazir saba hun main
har lab-e-zaKHm-e-tan se main dam-e-qatl
kahta qatil ko marhaba hun main
un sa maghrur aur pursish-e-haal
KHwab hai ye jo dekhta hun main
mujh sa hoga na saKHt-jaan koi
ki shab-e-hijr mein jiya hun main
meri pursish jo ki kisi ne to wo
bole han surat-ashna hun main
shaareh-e-haal-e-dil samajh mujh ko
dard hi dard ho gaya hun main
aankh tak Dalta nahin gahak
kuchh ajab jins-e-na-rawa hun main
roz-o-shab hai KHayal-e-kakul-o-zulf
kin balaon mein phans raha hun main
misl-e-nashtar hain KHar-e-sahrai
aur wahshat barhana-pa hun main
kal jo main ne kaha ki o be-mehr
dard-e-furqat se mar raha hun main
hans ke bole ye sab banawaT hai
aap ko KHub jaanta hun main
dikhne kya zaKHm-e-dil lage 'majruh'
hae hae jo kar raha hun main
(476) Peoples Rate This