Gareban Chaak Hain Gul Bostan Mein
gareban chaak hain gul bostan mein
asar kitna hai bulbul ki fughan mein
qafas sayyaad ka KHali paDa hai
na hon bechain kyun kar aashiyan mein
dua-e-wasl ja ab to asar tak
kiye nalon ne rauzan aasman mein
sune gar tala-e-KHufta ka qissa
to nind aa jae chashm-e-pasban mein
zuleKHa ki michi jati hain aankhen
kahin yusuf na ho is karwan mein
tamam asbab-e-duniyawi ke badle
hai ek be-raunaqi apni dukan mein
suna haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayan mein
(405) Peoples Rate This