Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main
bas-ki ek jins-e-raegan hun main
jitna arzan bikun giran hun main
na yahan aur na ab wahan hun main
kya bataun tumhein jahan hun main
yaad mein hai kisi ki istighraq
kaun pahunche wahan jahan hun main
madad ai naghma-sanji-e-bulbul
kab se gum-karda aashiyan hun main
Dhab hai ye yar tak pahunchne ka
kash qasid hi ka bayan hun main
nai ki manind KHushk hain aaza
kyun na sar-ta-ba-pa fughan hun main
lutf paya hai KHaksari mein
hun zamin go ki aasman hun main
kis ne jalwa dikha diya hai aaj
zamzama-sanj-e-al-aman hun main
ta-kuja tez-gamiyan bas kar
tausan-e-shauq ham-inan hun main
gard deti hai karwan ka pata
yaadgar-e-guzishtagan hun main
jaan kyunkar nisar-e-maqdam ho
ab wo aae ki nim-jaan hun main
kya nahin yaad barq ka girna
phir banata jo aashiyan hun main
ye safar dekhiye kahan ho tamam
misl-e-reg-e-rawan rawan hun main
koi is ahd mein nahin hai shafiq
aap apne pe mehrban hun main
dekh pachhtaega na le ke mujhe
maya-e-nazish-e-dukan hun main
ishq mein sau balaen lin sar par
apne haq mein KHud aasman hun main
qadr kyun KHwan-e-dahr par ho meri
sach hai na-KHwanda mehman hun main
awwal-e-shab hi hijr mein un ke
DhunDhta KHanjar-o-sinan hun main
na Tala us ke dar se ai 'majruh'
dusra sang-e-astan hun main
(458) Peoples Rate This