Wufur-e-zof Se Dil Yar Par Nahin Aata
wufur-e-zof se dil yar par nahin aata
gham-e-firaq mein jina nazar nahin aata
nigah-e-dida-e-dil se nazar nahin aata
KHayal-e-yar bhi do do pahar nahin aata
visal-e-dost bhi baad-e-visal hai shayad
ki jo udhar ko gaya phir idhar nahin aata
ghubar-e-chashm bhi hai justuju mein sargardan
hawa mein KHak bhi wo rahbar nahin aata
chaDhae gor-e-ghariban pe kaun chadar-e-gul
charagh le ke koi qabr par nahin aata
ye roz sham se hai subh tak KHud-arai
ki shab ko aaina bhi apne ghar nahin aata
na shama-ru pe bhi dun jaan misl-e-parwana
ki nam-e-ishq ko badnam kar nahin aata
main shab ko la ke use 'arsh' KHak hun ham-KHwab
wo shoKH KHana-KHarab apne ghar nahin aata
(391) Peoples Rate This