Tha Najm-e-baKHt-tira Muqabil Tamam Raat
tha najm-e-baKHt-tira muqabil tamam raat
aankhon tale phira mere qatil tamam raat
haarut san zaqan mein raha dil tamam raat
guzri miyana-e-chah-e-babil tamam raat
kis gul ne gul kiya tha meri sham-e-gor ko
tha qabr par hujum-e-anadil tamam raat
dhabba lage na rang-e-safed-o-siyah mein
hai go tamam din ke muqabil tamam raat
raushan thi subh tak mere madfan pe sham-e-tur
roya khaDe khaDe mera qatil tamam raat
ai rashk-e-mehr-o-mah tere munh par nisar hai
suraj tamam din mah-e-kaamil tamam raat
jati thi yaad gesu o ruKH mein falak pe aah
mahtab tha asir-e-salasil tamam raat
karte hain gul jo chaak gareban tamam din
sunte hain nala-ha-e-anadil tamam raat
kahta tha 'arsh' sach mein samajhta tha jhuT yar
karta raha hai haq ko wo baatil tamam raat
(401) Peoples Rate This