Shohrat Hai Meri SuKHan-wari Ki
shohrat hai meri suKHan-wari ki
hindi mein hai tarz farsi ki
kyun zikr-e-visal se KHafa ho
ye baat to hai hansi-KHushi ki
allah re nazakat-e-lab-e-yar
but-KHane paDe jo mai-kashi ki
shikwa na karun main ta-lab-e-gor
dushman bhi kahe ki dosti ki
ho dida-e-mehr shabnam-afshan
haalat jo dikhaun be-kasi ki
jab maut kisi tarah na aae
ghabra kar hum ne aashiqi ki
KHamosh ho shama rote rote
taqrir karun jo KHamushi ki
ai maut azab se chhuDaya
is qaid se tu ne muKHlisi ki
bulbul ko kiya asir-e-gul-dam
sayyaad ne KHub munsifi ki
dekha jo wo rashk-e-mah-e-kanan
rangat hui zar-dastari ki
pahunche na ba-rang-e-shana ta zulf
kya baKHt-e-siyah ne kotahi ki
dozaKH ki tarah jalen na zahid
jannat mein bhi hum ne mai-kashi ki
nale kiye chupke chupke roe
kya kya gham yar ki KHushi ki
ghulon ne lahad pe hun wo wahshi
aankhon se aa ke raushni ki
ai 'arsh' KHuda-o-but ahad hain
mushrik ko samai hai dui ki
(432) Peoples Rate This