Na Junun Jaega Kabhi Mera
na junun jaega kabhi mera
yar hai ghairat-e-pari mera
dil na le ai sanam bara-e-KHuda
kuchh bahalta hai is se ji mera
us ka hairan hun jo kahta hai
dekh le munh na aarsi mera
ab nahin dil ko tab furqat ki
dam nikalta hai ai pari mera
lazzat-e-qatl kya kahun qatil
chaTti hai lahu chhuri mera
jaan-e-jaan zikr kar na jaane ka
dam nikal jaega abhi mera
ghuncha-e-gul to hans ke kahta hai
munh chiDhane lagi kali mera
ab ki furqat mein gar raha jita
dekhiyega na munh kabhi mera
be-nishan hon misal anqa ki
nam ai 'arsh' to sahi mera
(395) Peoples Rate This