Mujhko Masnad Pe Qalamdan BaKHsha
mujh ko masnad pe qalamdan baKHsha
sher-e-qalin ko niyastan baKHsha
pir-e-kanan ko diya dagh-e-firaq
ek zan ko mah-e-kanan baKHsha
maraz-e-ishq mein maut aati hai
tu ne har dard ko darman baKHsha
qabil-e-did hai husn-e-hikmat
hur ko rauza-e-rizwan baKHsha
qatra bhi wusat-e-rahmat se hai bahr
chashm ko nuh ka tufan baKHsha
dil-e-nalan ko diye dagh-e-firaq
ek bulbul ko gulistan baKHsha
dil-e-be-rahm diya zalim ko
jis tarah tir ko paikan baKHsha
gul ko pur-zar jo gareban baKHsha
KHar ko dasht ka daman baKHsha
rahm aaya jo gunahgaron par
gunah-e-gabr-o-musalman baKHsha
aa gaya kuchh jo karimi ka KHayal
hur ko mulk-e-sulaiman baKHsha
teri tadbir hai ain-e-taqdir
maut ko aalam-e-imkan baKHsha
surKH-ru ahl-e-karam ko rakkha
bahr ko panja-e-marjaan baKHsha
lab ki ja bosa-e-ruKHsar diya
ewaz-e-lal badaKHshan baKHsha
mushaf-e-ruKH ka jo dekha koi sher
ruh-e-'hafiz' ko bhi quran baKHsha
us se hun talib-e-iman ai 'arsh'
jis ne kafir ko bhi iman baKHsha
(440) Peoples Rate This