Mausam-e-gul Mein Nahin Izzat-o-shan-e-waiz
mausam-e-gul mein nahin izzat-o-shan-e-waiz
kaun is fasl mein sunta hai bayan-e-waiz
duKHtar-e-raz ki mazammat ka irada to kare
khinch lunga abhi guddi se zaban-e-waiz
aaj rindan-e-qadah-nosh ko achchhi sujhi
mai-kashi ke liye taka hai makan-e-waiz
mausam-e-gul mein jo sunta hun to main kahta hun
hai sada-e-sag-e-diwana bayan-e-waiz
ghul-e-sahra-e-shariat use batla denge
hum se puchhe to koi nam-o-nishan-e-waiz
daur rindon ka hai chalti hai shab-o-roz sharab
ahd-e-qazi hai na baqi na zaban-e-waiz
qatl kar Daliye har-dam ye KHayal aata hai
josh khata hai lahu sun ke bayan-e-waiz
kabk ki tarah ye loTe abhi angaron par
bhTiyan mai ki jo hon zahr-e-makan-e-waiz
shukr hai mausam-e-gul ka asar itna to hua
mai-kada ab nazar aata hai makan-e-waiz
badle dumbe ke karen rind usi ko qurban
id-e-qurban mein jo sun paen bayan-e-waiz
'arsh' is fasl-e-junun mein mere saude ki tarah
aur baDh jae ilahi KHafaqan-e-waiz
(446) Peoples Rate This