KHun Bahane Ka Bahana Hai Bhala Mere Baad
KHun bahane ka bahana hai bhala mere baad
tin din pan bhi khana na zara mere baad
fatiha paDh ke wo rone jo laga mere baad
shor-e-mahshar mere madfan pe uTha mere baad
dil-e-ahbab na madfan pe jala misl-e-charagh
phir gai aisi zamane ki hawa mere baad
qabr ko takiya-e-aghosh bana kar baiTha
mere qatil ka kahin dil na laga mere baad
karwan mein pas-o-pesh ek hai manzil sab ki
ho gai rehlat-e-har-shah-o-gada mere baad
TukDe hoga mere gham mein sar-e-saghar saqi
kaT Dalegi surahi bhi gala mere baad
na raha bulbul o parwana ko ishq-e-gul-o-shama
nam ko bhi koi aashiq na raha mere baad
us sa mashuq jahan mein koi mujh sa aashiq
'arsh' aage na hua tha na hua mere baad
(446) Peoples Rate This